Ek umra beetne ke bad insan khali ho jata h unhe samjh me nhi ata ki wo kare kya.... Maine apne andar ki hunar ko ek ek karke apne bahno me baaat dia ek art me ek games me etc. Ek din aise hi mai dress design kar rahi thi to kisi ne muje 500 rs. Dia mai usko aise hi dekh rahi thi man me ye aya ki akhir 500 rs se kya hota hai ? Yahi sochte sochte mai samne tasveer dekhi to usme meri beti ne hath me mouth organ lia h hath me... Bus wo dekh kar mai gift shop gyi .. waha pucha mouth organ hai..? Waha se mouth organ li aur bajana chalu ki ,bajate bajate sirf yahi man me ata ki isko bajane se hoga kya... Fir man me aya ki sikh lungi to bacho ko is lupt hote instrument ko sikhaungi unko bhi. Muje bajate bajate 5 mahine ho gye.. 2018 me women's day par kisi ne meri bahan k Facebook par ek video bheja jis kuch mahilaye mouthorgan baja rahi thi..meri bahan ne wo video mere pe bhej dia tab tak mai Anjan thi ... Ki mere alawa aur bhi women's hai jo ye instrument bajati hai. Lekin mai unlogo ko nhi janti thi .. ek video mai neeta Kulkarni ji ka sun rahi thi... Usi pe maine apna number de dia.,muje viswas nhi ho rha tha jis samay neeta ji ka phone aya tb tk mai mouth organ bajana sikh gyi thi.,..inhi k jariye wo sabhi mahilaye muje women Harper's me mil gayi...2018 me Indian mouth organ player (IMP) meet Kolkata me hone wala tha mai usme participate nhi kar payi., Lekin mai apni pratice mouthorgan bajane ki 8 hour to 12 hour karne lgi... Maine apna prayas jari rakha ., Maine Pratapgarh me hi ek bachho k program me maine participate kia ., Log muje is instrument ko bajate huye dekh hairan ho jate ye sochte ki is umra me ye baja rahi h ...wo bhi stage pe..sabke samne.. meri asli shuruwat wahi se ab hui aur aage badhti chalti rah gyi .,... Fir 2019 me Indian harmonica forum (IHF) me participate kia., Waha muje bajane ka mauka mila stage pe bus wahi ek Josh aur lagan mere andar k bachpan ko jaga dia,...wo kahte h na bina kisi k parwaah kiye ap koi chij sikhte hai na to bhagwan apke sath rahte hai,... Maine iso mahsus kia aur samjha bhi,....IHF me muje wo sab mila jo maine kabhi socha bhi nhi tha... Muje title mila "yunhi nahi bante star" Aj bhi mai bich bich me bachho ko Harmonica sikhati hu aur dikhati hu aur jarurt padne pe gift bhi Karti hu ... During covid times maine aur b achhe se instrument bajana sikha,...2 sal kaise bita pta nhi chala... 2022 India level pe program hota hai jiska name hai Indian mouthorgan player (IMP) usme maine participate kia 13& 14 August at puri is bich maine mouth organ ko badhawa dia prize pane & first women participate k liye sammmanit kia gya muje..covid times me maine online program kiye usme maine prizes jite.... Maine 500 se shuruwat ki thi ye soch k ki 500 se kya ho sakta hai... Aj mujko iska jawab mil gya .. 500 goonjta hai.,. Karne ko bht kuch ho sakta hai..